No 64. Ab yahi mera naseeb hai…….

Sang sang chalna tha jin raahon par

Tum tanha – tanha chale ho

Kahte the tum main waqt thi tera

Phir kyon waqt ko peeche chod chale ho

Hogi koi majboori teri jo tune yeh kadam badaye hai

Kya tumko in aankho mein yeh aanshu nazar nahi aaye hai

Dikhe tujhme hi pal pal mujhe rab mera

Tu dil ka sukoon

Tha tu hi muskurane ki wajha

Tere bina jeeyun ab main kaise

Tu itna bataye jaa

Jo sabse kareeb tha

Aaj wahi mujhse rootha hai

Jisne kabhi khud thamaa tha haath mera

Aaj haatho se haath woh kuch is kadar chuta hai

Rab se bhi kha shikayat hum kar

Hamara rab hi toh hamse rootha hai

Mujhko toh aisa lagne laga hai

Ab yahi Mera naseeb hai

••• Pankh •••

Leave a comment